اردو हिंदी
Tahi sa jam to tha gir ke bah gaya hoga | Shaahi Shayari
tahi sa jam to tha gir ke bah gaya hoga

Ghazal

Tahi sa jam to tha gir ke bah gaya hoga

Abdul Hamid Adam

;

tahi sa jam to tha gir ke bah gaya hoga
mera nasib azal mein hi rah gaya hoga

hai ahrman se na malum kyun KHafa yazdan
gharib koi khari baat kah gaya hoga

hum aur log hain hum se bahut ghurur na kar
kalim tha jo tera naz sah gaya hoga

qarib-e-kaba pahunch kar 'adam' ko mat DhunDo
wo hila-ju kahin raste mein rah gaya hoga