warna koi kab galiyan deta hai kisi ko
ye us ka karam hai ki tujhe yaad raha main
Abbas Tabish
ye mauj mauj bani kis ki shakl si 'tabish'
ye kaun Dub ke bhi lahr lahr phail gaya
Abbas Tabish
ye mohabbat ki kahani nahin marti lekin
log kirdar nibhate hue mar jate hain
Abbas Tabish
ye to ab ishq mein ji lagne laga hai kuchh kuchh
is taraf pahle-pahal gher ke laya gaya main
Abbas Tabish
ye zamin to hai kisi kaghzi kashti jaisi
baiTh jata hun agar bar na samjha jae
Abbas Tabish
aai hawa na ras jo sayon ke shahr ki
hum zat ki qadim guphaon mein kho gae
Abdul Ahad Saaz
ab aa ke qalam ke pahlu mein so jati hain be-kaifi se
misron ki shoKH hasinaen sau bar jo ruThti manti thin
Abdul Ahad Saaz