thak gae hum karte karte intizar
ek qayamat un ka aana ho gaya
Akhtar Shirani
umr bhar ki talKH bedari ka saman ho gain
hae wo raaten ki jo KHwab-e-pareshan ho gain
Akhtar Shirani
un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai
do zahr ke pyalon mein qaza khel rahi hai
Akhtar Shirani
us ke ahd-e-shabab mein jina
jine walo tumhein hua kya hai
Akhtar Shirani
uThte nahin hain ab to dua ke liye bhi hath
kis darja na-umid hain parwardigar se
Akhtar Shirani
wo agar aa na sake maut hi aai hoti
hijr mein koi to gham-KHwar hamara hota
Akhtar Shirani
yaad aao mujhe lillah na tum yaad karo
meri aur apni jawani ko na barbaad karo
Akhtar Shirani