kuchh is tarah se yaad aate rahe ho
ki ab bhul jaane ko ji chahta hai
Akhtar Shirani
kuchh to tanhai ki raaton mein sahaara hota
tum na hote na sahi zikr tumhaara hota
Akhtar Shirani
kucha-e-husn chhuTa to hue ruswa-e-sharab
apni qismat mein jo likkhi thi wo KHwari na gai
Akhtar Shirani
laundry kholi thi us ke ishq mein
par wo kapDe hum se dhulwata nahin
Akhtar Shirani
mana ki sab ke samne milne se hai hijab
lekin wo KHwab mein bhi na aaen to kya karen
Akhtar Shirani
miT chale meri umidon ki tarah harf magar
aaj tak tere KHaton se teri KHushbu na gai
Akhtar Shirani
mohabbat ke iqrar se sharm kab tak
kabhi samna ho to majbur kar dun
Akhtar Shirani