meri nigah ki wusat bhi is mein shamil kar
meri zamin pe tera ye aasman kam hai
Akhtar Shumar
muddaton mein aaj dil ne faisla aaKHir diya
KHub-surat hi sahi lekin ye duniya jhuT hai
Akhtar Shumar
pahaD bhanp raha tha mere irade ko
wo is liye bhi ki tesha mujhe uThana tha
Akhtar Shumar
tu ne ek umr ke baad puchha hai haal-e-dil
wahi dard-o-gham wahi hasraten mere sath hain
Akhtar Shumar
wo muskura ke koi baat kar raha tha 'shumar'
aur us ke lafz bhi the chandni mein bikhre hue
Akhtar Shumar
tera har raaz chhupae hue baiTha hai koi
KHud ko diwana banae hue baiTha hai koi
Akhtar Siddiqui
sham aae aur ghar ke liye dil machal uThe
sham aae aur dil ke liye koi ghar na ho
Akhtar Usman