in wafadari ke wadon ko ilahi kya hua
wo wafaen karne wale bewafa kyun ho gae
Akhtar Shirani
inhi gham ki ghaTaon se KHushi ka chand niklega
andheri raat ke parde mein din ki raushni bhi hai
Akhtar Shirani
ishq ko naghma-e-ummid suna de aa kar
dil ki soi hui qismat ko jaga de aa ka
Akhtar Shirani
kaam aa sakin na apni wafaen to kya karen
us bewafa ko bhul na jaen to kya karen
Akhtar Shirani
KHafa hain phir bhi aa kar chheD jate hain tasawwur mein
hamare haal par kuchh mehrbani ab bhi hoti hai
Akhtar Shirani
kisi maghrur ke aage hamara sar nahin jhukta
faqiri mein bhi 'aKHtar' ghairat-e-shahana rakhte hain
Akhtar Shirani
kiya hai aane ka wada to us ne
mere parwardigar aae na aae
Akhtar Shirani