shabab-e-dard meri zindagi ki subh sahi
piyun sharab yahan tak ki sham ho jae
Akhtar Ansari
sunne wale fasana tera hai
sirf tarz-e-bayan hi mera hai
Akhtar Ansari
us se puchhe koi chahat ke maze
jis ne chaha aur jo chaha gaya
Akhtar Ansari
wo mazi jo hai ek majmua ashkon aur aahon ka
na jaane mujh ko is mazi se kyun itni mohabbat hai
Akhtar Ansari
yaad-e-mazi azab hai ya-rab
chhin le mujh se hafiza mera
Akhtar Ansari
yaron ke iKHlas se pahle dil ka mere ye haal na tha
ab wo chaknachur paDa hai jis shishe mein baal na tha
Akhtar Ansari
abhi bahaar ne sikhi kahan hai dil-jui
hazar dagh abhi qalb-e-lala-zar mein hain
Akhtar Ansari Akbarabadi