اردو हिंदी
Mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yas-o-hasrat hai | Shaahi Shayari
mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yas-o-hasrat hai

Ghazal

Mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yas-o-hasrat hai

Akhtar Ansari

;

mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yas-o-hasrat hai
jawani aur itni dukh bhari kaisi qayamat hai

wo mazi jo hai ek majmua ashkon aur aahon ka
na jaane mujh ko is mazi se kyun itni mohabbat hai

lab-e-dariya mujhe lahron se yunhi chahal karne do
ki ab dil ko isi ek shughl-e-be-mani mein rahat hai

tera afsana ai afsana-KHwan rangin sahi mumkin
mujhe rudad-e-ishrat sun ke ro dene ki aadat hai

koi roe to main be-wajh KHud bhi rone lagta hun
ab 'aKHtar' chahe tum kuchh bhi kaho ye meri fitrat hai