اردو हिंदी
Jo dagh ban ke tamanna tamam ho jae | Shaahi Shayari
jo dagh ban ke tamanna tamam ho jae

Ghazal

Jo dagh ban ke tamanna tamam ho jae

Akhtar Ansari

;

jo dagh ban ke tamanna tamam ho jae
hamein to KHun bhi rona haram ho jae

shabab-e-dard meri zindagi ki subh sahi
piyun sharab yahan tak ki sham ho jae

yahi hai maslahat intiha-e-raaz 'aKHtar'
jahan mein rasm-e-mohabbat na aam ho jae