اردو हिंदी
Har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin | Shaahi Shayari
har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin

Ghazal

Har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin

Abbas Rizvi

;

har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin
qafila hai ki rawan hai koi sunta hi nahin

ek sada puchhti rahti hai koi zinda hai
main kahe jata hun han hai koi sunta hi nahin

main jo chup tha hama-tan-gosh thi basti sari
ab mere munh mein zaban hai koi sunta hi nahin

dekhne wale to is shahr mein yun bhi kam the
ab samaat bhi giran hai koi sunta hi nahin

ek hangama ki is dil mein bapa rahta tha
ab karan-ta-ba-karan hai koi sunta hi nahin

kya sitam hai ki mere shahr mein meri aawaz
jaise aawaz-e-sagan hai koi sunta hi nahin