اردو हिंदी
Hum tere husn-e-jahan-tab se Dar jate hain | Shaahi Shayari
hum tere husn-e-jahan-tab se Dar jate hain

Ghazal

Hum tere husn-e-jahan-tab se Dar jate hain

Abbas Rizvi

;

hum tere husn-e-jahan-tab se Dar jate hain
aise muflis hain ki asbab se Dar jate hain

KHauf aisa hai ki duniya ke satae hue log
kabhi mimbar kabhi mehrab se Dar jate hain

raat ke pichhle pahar nind mein chalte hue log
KHun hote hue mahtab se Dar jate hain

shad rahte hain isi jama-e-uryani mein
han magar atlas-o-kamKHwab se Dar jate hain

kabhi karte hain mubaraz-e-talabi duniya se
aur kabhi KHwahish-e-betab se Dar jate hain

ji to kahta hai ki chaliye usi kuche ki taraf
hum teri bazm ke aadab se Dar jate hain

hum to wo hain ki jinhen ras nahin koi nagar
kabhi sahil kabhi girdab se Dar jate hain