dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se
kaisi tanhai Tapakti hai dar o diwar se
Akbar Hyderabadi
har dukan apni jagah hairat-e-nazzara hai
fikr-e-insan ke sajae hue bazar to dekh
Akbar Hyderabadi
himmat wale pal mein badal dete hain duniya ko
sochne wala dil to baiTha socha karta hai
Akbar Hyderabadi
KHud-parasti KHuda na ban jae
ehtiyatan gunah karta hun
Akbar Hyderabadi
labon par tabassum to aankhon mein aansu thi dhup ek pal mein to ek pal mein barish
hamein yaad hai baaton baaton mein un ka hansana rulana rulana hansana
Akbar Hyderabadi
meri shikast bhi thi meri zat se mansub
ki meri fikr ka har faisla shuuri tha
Akbar Hyderabadi
mubham the sab nuqush naqabon ki dhund mein
chehra ek aur bhi pas-e-chehra zarur tha
Akbar Hyderabadi