اردو हिंदी
Kul aalam-e-wajud ki ek dasht-e-nur tha | Shaahi Shayari
kul aalam-e-wajud ki ek dasht-e-nur tha

Ghazal

Kul aalam-e-wajud ki ek dasht-e-nur tha

Akbar Hyderabadi

;

kul aalam-e-wajud ki ek dasht-e-nur tha
sara hijab tira-dili ka qusur tha

samjhe the johd-e-ishq mein hum surKH-ru hue
dekha magar to shisha-e-dil chur chur tha

pahunche na yun hi manzil-e-izhaar-e-zat tak
taht-e-shuur ek safar-e-la-shuur tha

tha jo qarib us ko basirat na thi nasib
jo dekhta tha mujh ko bahut mujh se dur tha

mubham the sab nuqush naqabon ki dhund mein
chehra ek aur bhi pas-e-chehra zarur tha