go rahzan ka war bhi kuchh kam na tha magar
jo war kargar hua wo rahnuma ka tha
Akbar Hameedi
hawa sahla rahi hai us ke tan ko
wo shoala ab sharare de raha hai
Akbar Hameedi
hu-ba-hu aap hi ki murat hai
zindagi kitni KHub-surat hai
Akbar Hameedi
jal kar gira hun sukhe shajar se uDa nahin
main ne wahi kiya jo taqaza wafa ka tha
Akbar Hameedi
kai harfon se mil kar ban raha hun
bajae lafz ke alfaz hun main
Akbar Hameedi
kabhi jo waqt zamane ko deta hai gardish
mere makan se bhi kuchh la-makan guzarte hain
Akbar Hameedi
kahin to harf-e-aKHir hun main 'akbar'
kisi ka nuqta-e-aghaz hun main
Akbar Hameedi