yahi soch kar iktifa chaar par kar gae shaiKH-ji
milengi wahan un ko hur aur pariyan waghaira waghaira
Akbar Hyderabadi
kare wo raat ki manind dagh dagh mujhe
main rang rang karunga use sahar ki tarah
Akbar Kazmi
ab tujhe mera nam yaad nahin
jab ki tera pata raha hun main
Akbar Masoom
aisa ek maqam ho jis mein dil jaisi virani ho
yaadon jaisi tez hawa ho dard se gahra pani ho
Akbar Masoom
hai musibat mein giraftar musibat meri
jo bhi mushkil hai wo mere liye aasani hai
Akbar Masoom
jis ke baghair ji nahin sakte the ja chuka
par dil se dard aankh se aansu kahan gaya
Akbar Masoom
main kisi aur hi aalam ka makin hun pyare
mere jangal ki tarah ghar bhi hai sunsan mera
Akbar Masoom