ye aks-e-ab hai ya is ka daman-e-rangin
ajib tarah ki surKHi si baadban mein hai
Akbar Hameedi
aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai
hai tamanna ka wahi jo zindagi ka haal hai
Akbar Hyderabadi
aankhon ko dekhne ka saliqa jab aa gaya
kitne naqab chehra-e-asrar se uThe
Akbar Hyderabadi
e-sal-o-sin zamanon mein phaile hue hain hum
be-rang-o-nasl nam mein tu bhi hai main bhi hun
Akbar Hyderabadi
ure bhale mein farq hai ye jaante hain sab magar
hai kaun nek kaun bad nazar nazar ki baat hai
Akbar Hyderabadi
charagh-e-rahguzar lakh tabnak sahi
jala ke apna diya raushni makan mein la
Akbar Hyderabadi
chhoD ke mal-o-daulat sari duniya mein apni
KHali hath guzar jate hain kaise kaise log
Akbar Hyderabadi