in ko kya kaam hai murawwat se apni ruKH se ye munh na moDenge
jaan shayad farishte chhoD bhi den doctor fees ko na chhoDenge
Akbar Allahabadi
is gulistan mein bahut kaliyan mujhe taDpa gain
kyun lagi thin shaKH mein kyun be-khile murjha gain
Akbar Allahabadi
is qadar tha khaTmalon ka chaarpai mein hujum
wasl ka dil se mere arman ruKHsat ho gaya
Akbar Allahabadi
ishq ke izhaar mein har-chand ruswai to hai
par karun kya ab tabiat aap par aai to hai
Akbar Allahabadi
ishq nazuk-mizaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
Akbar Allahabadi
ishwa bhi hai shoKHi bhi tabassum bhi haya bhi
zalim mein aur ek baat hai is sab ke siwa bhi
Akbar Allahabadi
jab gham hua chaDha lin do botalen ikaTThi
mulla ki dauD masjid 'akbar' ki dauD bhaTTi
Akbar Allahabadi