ut-kade mein shor hai 'akbar' musalman ho gaya
be-wafaon se koi kah de ki han han ho gaya
Akbar Allahabadi
uton ke pahle bande the mison ke ab hue KHadim
hamein har ahd mein mushkil raha hai ba-KHuda hona
Akbar Allahabadi
uDhon ke sath log kahan tak wafa karen
buDhon ko bhi jo maut na aae to kya karen
Akbar Allahabadi
college se aa rahi hai sada pas pas ki
ohdon se aa rahi hai sada dur dur ki
Akbar Allahabadi
dawa bahut baDa hai riyazi mein aap ko
tul-e-shab-e-firaq ko to nap dijiye
Akbar Allahabadi
Dal de jaan maani mein wo urdu ye hai
karwaTen lene lage taba wo pahlu ye hai
Akbar Allahabadi
dam labon par tha dil-e-zar ke ghabrane se
aa gai jaan mein jaan aap ke aa jaane se
Akbar Allahabadi