dhamka ke bose lunga ruKH-e-rashk-e-mah ka
chanda wasul hota hai sahab dabaw se
Akbar Allahabadi
dil wo hai ki fariyaad se labrez hai har waqt
hum wo hain ki kuchh munh se nikalne nahin dete
Akbar Allahabadi
dinner se tum ko fursat kam yahan faqe se kam KHali
chalo bas ho chuka milna na tum KHali na hum KHali
Akbar Allahabadi
duKHtar-e-raz ne uTha rakkhi hai aafat sar par
KHairiyat guzri ki angur ke beTa na hua
Akbar Allahabadi
ek kafir par tabiat aa gai
parsai par bhi aafat aa gai
Akbar Allahabadi
falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin
Dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin
Akbar Allahabadi
gham-KHan-e-jahan mein waqat hi kya hamari
ek na-shunida uf hain ek aah-e-be-asar hain
Akbar Allahabadi