aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua
jo sama mein aa gaya phir wo KHuda kyunkar hua
Akbar Allahabadi
asar ye tere anfas-e-masihai ka hai 'akbar'
allahabad se langDa chala lahore tak pahuncha
Akbar Allahabadi
BA bhi pas hon mile bi-bi bhi dil-pasand
mehnat ki hai wo baat ye qismat ki baat hai
Akbar Allahabadi
as jaan gaya main teri pahchan yahi hai
tu dil mein to aata hai samajh mein nahin aata
Akbar Allahabadi
ataun aap ko marne ke baad kya hoga
polao khaenge ahbab fatiha hoga
Akbar Allahabadi
ole ki tujh ko din ki islah farz hai
main chal diya ye kah ke ki aadab arz hai
Akbar Allahabadi
oot Dawson ne banaya main ne ek mazmun likha
mulk mein mazmun na phaila aur juta chal gaya
Akbar Allahabadi