chhoTe chhoTe kai be-faiz mafadat ke sath
log zinda hain ajab surat-e-haalat ke sath
Aitbar Sajid
Diary mein sare achchhe sher chun kar likh liye
ek laDki ne mera diwan KHali kar diya
Aitbar Sajid
diye munDer pa rakh aate hain hum har sham na jaane kyun
shayad us ke lauT aane ka kuchh imkan abhi baqi hai
Aitbar Sajid
ghazal faza bhi DhunDti hai apne KHas rang ki
hamara masala faqat qalam dawat hi nahin
Aitbar Sajid
guftugu der se jari hai natije ke baghair
ek nai baat nikal aati hai har baat ke sath
Aitbar Sajid
hum tere KHwabon ki jannat se nikal kar aa gae
dekh tera qasr-e-ali-shan KHali kar diya
Aitbar Sajid
itna paspa na ho diwar se lag jaega
itne samjhaute na kar surat-e-haalat ke sath
Aitbar Sajid