jis ko hum ne chaha tha wo kahin nahin is manzar mein
jis ne hum ko pyar kiya wo samne wali murat hai
Aitbar Sajid
jo meri shabon ke charagh the jo meri umid ke bagh the
wahi log hain meri aarzu wahi suraten mujhe chahiyen
Aitbar Sajid
judaiyon ki KHalish us ne bhi na zahir ki
chhupae apne gham o iztirab main ne bhi
Aitbar Sajid
kise pane ki KHwahish hai ki 'sajid'
main rafta rafta KHud ko kho raha hun
Aitbar Sajid
kisi ko sal-e-nau ki kya mubarakbaad di jae
calender ke badalne se muqaddar kab badalta hai
Aitbar Sajid
main takiye par sitare bo raha hun
janam-din hai akela ro raha hun
Aitbar Sajid
makinon ke talluq hi se yaad aati hai har basti
wagarna sirf baam-o-dar se ulfat kaun rakhta hai
Aitbar Sajid