اردو हिंदी
Tark-e-talluq kar to chuke hain ek imkan abhi baqi hai | Shaahi Shayari
tark-e-talluq kar to chuke hain ek imkan abhi baqi hai

Ghazal

Tark-e-talluq kar to chuke hain ek imkan abhi baqi hai

Aitbar Sajid

;

tark-e-talluq kar to chuke hain ek imkan abhi baqi hai
ek mahaz se lauT aae hain ek maidan abhi baqi hai

shayad us ne hansi hansi mein tark-e-wafa ka zikr kiya ho
yunhi si ek KHush-fahmi hai itminan abhi baqi hai

raaten us ke hijr mein ab bhi naza ke aalam mein kaTti hain
dil mein waisi hi wahshat hai tan mein jaan abhi baqi hai

bachpan ke is ghar ke sare kamre maliya-meT hue
jis mein hum khela karte the wo dalan abhi baqi hai

diye munDer pa rakh aate hain hum har sham na jaane kyun
shayad us ke lauT aane ka kuchh imkan abhi baqi hai

ek adalat aur hai jis mein hum tum ek din hazir honge
faisla sun kar KHush mat hona ek mizan abhi baqi hai