har dam aane se main bhi hun nadim
kya karun par raha nahin jata
Qayem Chandpuri
har taraf zarf-e-wazu bharte hain zahid hui subh
sath uTh hum bhi surahi mein mai-e-nab karen
Qayem Chandpuri
har uzw hai dil-fareb tera
kahiye kise kaun sa hai behta
Qayem Chandpuri
hona tha zindagi hi mein munh shaiKH ka siyah
is umr mein hai warna maza kya KHizab ka
Qayem Chandpuri
irad kar na paDh ke mera KHat ki ye tamam
be-rabtiyan hain samra-e-hangam-e-ishtiyaq
Qayem Chandpuri
ilahi waqai itna hi bad hai fisq-o-fujur
par is maze ko samajhta jo tu bashar hota
Qayem Chandpuri
jis chashm ko wo mera KHush-chashm nazar aaya
nargis ka use jalwa ek pashm nazar aaya
Qayem Chandpuri

