jis musalle pe chhiDkiye na sharab
apne aain mein wo pak nahin
Qayem Chandpuri
jun shisha bhara hun mai se lekin
masti se main apni be-KHabar hun
Qayem Chandpuri
kahta hai aaina ki hai tujh sa hi ek aur
bawar nahin to la main tere ru-ba-ru karun
Qayem Chandpuri
kar na jurat tu ai tabib ki ye
dil ka dhaDka hai iKHtilaj nahin
Qayem Chandpuri
KHas namat sath mauj ke lag le
bahte bahte kahin to jaiyega
Qayem Chandpuri
ki wafa kis se bhala fahisha-e-duniya ne
hai tujhe shauq jo is qahba ki damadi ka
Qayem Chandpuri
koi din aage bhi zahid ajab zamana tha
har ek mohalle ki masjid sharab-KHana tha
Qayem Chandpuri

