Daha khaDa hai hazaron jagah se qasr-e-wajud
bataun kaun si us ki main ustuwar taraf
Qayem Chandpuri
dard-e-dil kuchh kaha nahin jata
aah chup bhi raha nahin jata
Qayem Chandpuri
dard-e-dil kyun-ki kahun main us se
har taraf log ghire baiThe hain
Qayem Chandpuri
dil ko phansa hai har ek uzw ki tere chhab ne
hath ne panw ne mukhDe ne dahan ne lab ne
Qayem Chandpuri
dil se bas hath uTha tu ab ai ishq
deh-e-viran par KHiraj nahin
Qayem Chandpuri
duKHtar-e-raz to hai beTi si tere upar haram
rind is rishte se sare tere damad hain shaiKH
Qayem Chandpuri
dun ham-sari mein baiTh ke kis na-saza ke sath
yan bahs ka dimagh nahin hai KHuda ke sath
Qayem Chandpuri

