yun barasti hain tasawwur mein purani yaaden
jaise barsat ki rim-jhim mein saman hota hai
Qateel Shifai
yun lage dost tera mujh se KHafa ho jaana
jis tarah phul se KHushbu ka juda ho jaana
Qateel Shifai
yun tasalli de rahe hain hum dil-e-bimar ko
jis tarah thame koi girti hui diwar ko
Qateel Shifai
zindagi main bhi chalunga tere pichhe pichhe
tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana
Qateel Shifai
yahi to hota hai shishe ke karobar ka hashr
ujaD gaya hai achanak hara-bhara baza
Qaus Siddiqui
aa ai 'asar' mulazim-e-sarkar-e-girya ho
yan juz guhar KHazane mein tanKHwah hi nahin
Qayem Chandpuri
ahl-e-masjid ne jo kafir mujhe samjha to kya
sakin-e-dair to jaane hain musalman mujh ko
Qayem Chandpuri

