tark-e-wafa ke baad ye us ki ada 'qatil'
mujh ko satae koi to us ko bura lage
Qateel Shifai
thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana chahta hun
Qateel Shifai
thoDi si aur zaKHm ko gahrai mil gai
thoDa sa aur dard ka ehsas ghaT gaya
Qateel Shifai
tum aa sako to shab ko baDha do kuchh aur bhi
apne kahe mein subh ka tara hai in dinon
Qateel Shifai
tum puchho aur main na bataun aise to haalat nahin
ek zara sa dil TuTa hai aur to koi baat nahin
Qateel Shifai
uf wo marmar se tarasha hua shaffaf badan
dekhne wale use taj-mahal kahte hain
Qateel Shifai
wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
main tujh ko bhul ke zinda rahun KHuda na kare
Qateel Shifai

