yar ka kucha hai masjud-e-KHalaiq dekh le
sang hai kabe mein murat dair mein hai mushtarak
Qasim Ali Khan Afridi
subut mangte hain wo meri wafa ka 'jalal'
har ek se tark-e-talluq kiya hai jin ke liye
Qasim Jalal
dar-e-imkan ki dastak mujhe bheji gai hai
meri qismat mein to maujud ki daulat nahin hai
Qasim Yaqub
kya ho sake hisab ki jab aagahi kahe
ab tak to raegani mein sara safar kiya
Qasim Yaqub
ye jhank leti hai andar se aarzu-KHana
hawa ka qad meri diwar se ziyaada hai
Qasim Yaqub
ye kya ki baiTha hai dariya kinar-e-dariya par
main aaj bahta hua ja raha hun pani mein
Qasim Yaqub
angDai par angDai leti hai raat judai ki
tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhai ki
Qateel Shifai

