saKHt-jaan wo hun ki maqtal se sar-afraaz aaya
kitni talwaron ko deta hua aawaz aaya
Parvez Shahidi
yaad hain aap ke toDe hue paiman hum ko
kijiye aur na sharminda-e-ehsan hum ko
Parvez Shahidi
ye taj ke sae mein zar-o-sim ke KHirman
kyun aatish-e-kashkol-e-gada se nahin Darte
Parvez Shahidi
laga jab yun ki uktane laga hai dil ujalon se
use mahfil se us ki alwidaa kah kar nikal aae
Parvindar shokh
jin ke honTon pe hansi panw mein chhaale honge
han wahi log tumhein chahne wale honge
Parwaz Jalandhari
kaleja rah gaya us waqt phaT kar
kaha jab alwida us ne palaT ka
Pawan Kumar
ajib shai hai tasawwur ki kar-farmai
hazar mahfil-e-rangin sharik-e-tanhai
Payam Fatehpuri

