اردو हिंदी
Kaleja rah gaya us waqt phaT kar | Shaahi Shayari
kaleja rah gaya us waqt phaT kar

Ghazal

Kaleja rah gaya us waqt phaT kar

Pawan Kumar

;

kaleja rah gaya us waqt phaT kar
kaha jab alwida us ne palaT kar

tasalli kis tarah deta use main
main KHud hi ro paDa us se lipaT kar

akela rah gaya hun karwan mein
kahan tak aa gai tadad ghaT kar

na koi aks baqi tha na surat
rakha jo aaina main ne ulaT kar

parinda aur uDna chahta tha
ufuq hi rah gaya KHud mein simaT kar

na bach paenge parbat bandishon ke
mohabbat ki nadi nikli hai kaT kar