zist ne murda bana rakkha tha mujh ko hijr mein
maut ne dikhla diya aa kar masihai ka rang
Peer Sher Mohammad Ajiz
didani hai tere itab ka rang
shisha-e-chashm mein sharab ka rang
Pinhaan Sipher Ara Khatoon
ek saza aur asiron ko suna di jae
yani ab jurm-e-asiri ki saza di jae
Pirzada Qasim
shahr talab kare agar tum se ilaj-e-tiragi
sahab-e-iKHtiyar ho aag laga diya karo
Pirzada Qasim
tumhein jafa se na yun baz aana chahiye tha
abhi kuchh aur mera dil dukhana chahiye tha
Pirzada Qasim
us ki KHwahish hai ki ab log na roen na hansen
be-hisi waqt ki aawaz bana di jae
Pirzada Qasim
mangal ko bajrang-bali se tera shukr manaun
aur shukr ko tu allah se mera mangal mange
Prabudha Saurabh

