tamam hosh zabt ilm maslahat ke baad bhi
phir ek KHata main kar gaya tha mazarat ke baad bhi
Pallav Mishra
wo nasha hai ke zaban aql se karti hai fareb
tu meri baat ke mafhum pe jata hai kahan
Pallav Mishra
wo nasha hai ki zaban aql se karti hai fareb
tu meri baat ke mafhum pe jata hai kahan
Pallav Mishra
ye jism tang hai sine mein bhi lahu kam hai
dil ab wo phul hai jis mein ki rang-o-bu kam hai
Pallav Mishra
uton ki gali chhoD kar kaun jae
yahin se hai kaba ko sajda hamara
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
chala duKHtar-e-raz ko le kar jo saqi
farishta hue sath ghar dekhne ko
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
dozaKH o jannat hain ab meri nazar ke samne
ghar raqibon ne banaya us ke ghar ke samne
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi

