mani-e-raushan jo hon to sau se behtar ek sher
matla-e-KHurshid kafi hai pae-diwan-e-subh
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
makan sine ka pata hun dam-ba-dam KHali
nazar bacha ke tu ai dil kidhar ko jata hai
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
samjha hai haq ko apne hi jaanib har ek shaKHs
ye chand us ke sath chala jo jidhar gaya
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
subh-dam ghaeb hue 'anjum' to sabit ho gaya
KHanda-e-behuda par toDe gae dandan-e-subh
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
apne junun-kade se nikalta hi ab nahin
saqi jo mai-farosh sar-e-rahguzar tha
Pandit Jawahar Nath Saqi
urai bhalai ki surat hui
mohabbat mein sab kuchh rawa ho gaya
Pandit Jawahar Nath Saqi
chhu le saba jo aa ke mere gul-badan ke panw
qaem na hon chaman mein nasim-e-chaman ke panw
Pandit Jawahar Nath Saqi

