paiwand ki tarah nazar aata hai bad-numa
puKHta makan kachche gharon ke hujum mein
Owais Ahmad Dauran
sab mastiyon mein phenko na patthar idhar udhar
diwano! is dayar mein shishe ke ghar bhi hain
Owais Ahmad Dauran
shayad kisi ki yaad ka mausam phir aa gaya
pahlu mein dil ki tarah dhaDakne lagi hai sham
Owais Ahmad Dauran
un makanon mein bhi insan hi rahte honge
raunaqen jin mein nahin aap ki mahfil ki si
Owais Ahmad Dauran
wo lahu pi kar baDe andaz se kahta hai ye
gham ka har tufan us ke ghar ke bahar aaega
Owais Ahmad Dauran
ye sehn-e-gulistan nahin maqtal hai rafiqo!
har shaKH hai talwar yahan, jagte rahna
Owais Ahmad Dauran
ye zist ki hai phul si miT jae bala se
gulchin se magar bar-sar-e-paikar hi rahiye
Owais Ahmad Dauran

