ishq ki tamanna thi ishq ki tamanna hai
ishq hi ki rahon mein mastiyon ka mela hai
Owaisul Hassan Khan
hai pyar ka ye khel kahan makr se KHali
lekin dil-e-nadan ko dikhana nahin aaya
Ozair Rahman
karta raha main minnaten kam ki na kuchh dua
hasil hua na kuchh to KHuda be-asar laga
Ozair Rahman
aastinon mein chhupa kar sanp bhi lae the log
shahr ki is bhiD mein kuchh log bazigar bhi the
P P Srivastava Rind
aasudgi ne thapkiyan de kar sula diya
ghar ki zaruraton ne jagaya to Dar laga
P P Srivastava Rind
arf-manzar dhul ke baadal hawa ke qahqahe
jo kabhi dahliz ke bahar the wo andar bhi the
P P Srivastava Rind
chahta hai dil kisi se raaz ki baaten kare
phul aadhi raat ka aangan mein hai mahka hua
P P Srivastava Rind

