wo KHuda jaane ghar mein hain ki nahin
kuchh khula aur kuchh hai band kiwaD
Nooh Narvi
wo KHudai kar rahe the jab KHuda hone se qabl
to KHuda jaane karenge kya KHuda hone ke baad
Nooh Narvi
ye mere pas jo chup-chap aae baiThe hain
hazar fitna-e-mahshar uThae baiThe hain
Nooh Narvi
din to KHair guzar jata hai
raaten pagal kar deti hain
Noon Meem Danish
gardish-e-mah-o-sal se aage nikal gaya hun main
jaise badal gae ho tum jaise badal gaya hun main
Noon Meem Danish
ye bhi to jabr-e-waqt hai tu mujhe yaad bhi nahin
jaise sambhal gae ho tum waise sambhal gaya hun main
Noon Meem Danish
gham-e-ashiqi mein girah-kusha na KHirad hui na junun hua
wo sitam sahe ki hamein raha na pae-KHirad na sar-e-junun
Noon Meem Rashid

