ek sitam Dhane mein fard ek sitam sahne mein
al-gharaz hai na tumhaara na mera dil naqis
Nooh Narvi
is kam-sini mein ho unhen mera KHayal kya
wo kai baras ke hain abhi sin kya hai sal kya
Nooh Narvi
ishq mein kuchh nazar nahin aaya
jis taraf dekhiye andhera hai
Nooh Narvi
jaane ko jae fasl-e-gul aane ko aae har baras
hum gham-zadon ke waste jaise chaman waise qafas
Nooh Narvi
jab zikr kiya main ne kabhi wasl ka un se
wo kahne lage pak mohabbat hai baDi chiz
Nooh Narvi
jigar ki choT upar se kahin malum hoti hai
jigar ki choT upar se nahin malum hoti hai
Nooh Narvi
jo ahl-e-zauq hain wo lutf uTha lete hain chal phir kar
gulistan ka gulistan mein bayaban ka bayaban mein
Nooh Narvi

