tum se chhuT kar bhi tumhein bhulna aasan na tha
tum ko hi yaad kiya tum ko bhulane ke liye
Nida Fazli
us jaisa to dusra milna tha dushwar
lekin us ki khoj mein phail gaya sansa
Nida Fazli
us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga
wo bhi meri hi tarah shahr mein tanha hoga
Nida Fazli
us ko ruKHsat to kiya tha mujhe malum na tha
sara ghar le gaya ghar chhoD ke jaane wala
Nida Fazli
wo ek hi chehra to nahin sare jahan mein
jo dur hai wo dil se utar kyun nahin jata
Nida Fazli
wo sufi ka qaul ho ya panDit ka gyan
jitni bite aap par utna hi sach man
Nida Fazli
yahan kisi ko koi rasta nahin deta
mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
Nida Fazli

