mere badan mein khule jangalon ki miTTi hai
mujhe sambhaal ke rakhna bikhar na jaun mein
Nida Fazli
mujh jaisa ek aadmi mera hi hamnam
ulTa sidha wo chale mujhe kare bad-nam
Nida Fazli
mumkin hai safar ho aasan ab sath bhi chal kar dekhen
kuchh tum bhi badal kar dekho kuchh hum bhi badal kar dekhen
Nida Fazli
muTThi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain
juda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjiren hain
Nida Fazli
nainon mein tha rasta hirdai mein tha ganw
hui na puri yatra chhalni ho gae panw
Nida Fazli
naqsha le kar hath mein bachcha hai hairan
kaise dimak kha gai us ka hindostan
Nida Fazli
naqsha uTha ke koi naya shahr DhunDhiye
is shahr mein to sab se mulaqat ho gai
Nida Fazli

