aurat apna aap bachae tab bhi mujrim hoti hai
aurat apna aap ganwae tab bhi mujrim hoti hai
Neelma Sarwar
koi to aae KHizan mein patte ugane wala
gulon ki KHushbu ko qaid karna koi to sikhe
Neelma Sarwar
hasrat-e-mausam-e-gulab hun main
sach na ho paega wo KHwab hun main
Neena Sahar
kaise hoti hai shab ki sahar dekhte
kash hum bhi kabhi jag kar dekhte
Neena Sahar
kal tere ehsas ki barish tale
mera suna-pan nahaya der tak
Neena Sahar
maro patthar bhi to nahin hilta
jam chuka hai ab is qadar pani
Neena Sahar
meri pyas ka tarana yun samajh na aa sakega
mujhe aaj sun ke dekho meri KHamoshi se aage
Neena Sahar

