aql se sirf zehan raushan tha
ishq ne dil mein raushni ki hai
Naresh Kumar Shad
KHuda se kya mohabbat kar sakega
jise nafrat hai us ke aadmi se
Naresh Kumar Shad
KHuda se log bhi KHaif kabhi the
magar logon se ab KHaif KHuda hai
Naresh Kumar Shad
kisi ke jaur-o-sitam ka to ek bahana tha
hamare dil ko bahar-haal TuT jaana tha
Naresh Kumar Shad
mahfil un ki saqi un ka
aankhen apni baqi un ka
Naresh Kumar Shad
mahsus bhi ho jae to hota nahin bayan
nazuk sa hai jo farq gunah o sawab mein
Naresh Kumar Shad
tufan-e-gham ki tund hawaon ke bawajud
ek sham-e-arzu hai jo ab tak bujhi nahin
Naresh Kumar Shad

