koi kis tarah raaz-e-ulfat chhupae
nigahen milin aur qadam Dagmagae
Nakhshab Jaarchawi
wade ka eatibar to hai waqai mujhe
ye aur baat hai ki hansi aa gai mujhe
Nakhshab Jaarchawi
apni parwaz ko main samt bhi KHud hi dunga
to mujhe apni riwayat ka paband na ka
Nami Ansari
apni parwaz ko main samt bhi KHud hi dunga
tu mujhe apni riwayat ka paband na ka
Nami Ansari
hum ne kya pa liya hindu ya musalman ho kar
kyun na insan se mohabbat karen insan ho ka
Naqsh Layalpuri
nam honTon pe tera aae to rahat si mile
tu tasalli hai dilasa hai dua hai kya hai
Naqsh Layalpuri
ye anjuman ye qahqahe ye mahwashon ki bhiD
phir bhi udas phir bhi akeli hai zindagi
Naqsh Layalpuri

