dard ki lahr mein zindagi bah gai
umr yun kaT gai hijr ki sham mein
Najma Shaheen Khosa
zamin panw tale hai na aasman sar par
paDe hain ghar mein kai log be-gharon ki tarah
Najmi Siddiqui
adan ko jaan se juda ho ke zinda rahna hai
ye faisla hai fana ho ke zinda rahna hai
Najmus Saqib
dil ko aaj tasalli main ne de Dali
wo sachcha tha us ke wade jhuTe the
Najmus Saqib
dukh-bhara shahr ka manzar kabhi tabdil bhi ho
dard ko had se guzarte koi kab tak dekhe
Najmus Saqib
hunuz raat hai jalna paDega us ko bhi
ki mere sath pighalna paDega us ko bhi
Najmus Saqib
kabhi na TuTne wala hisar ban jaun
wo meri zat mein rahne ka faisla to kare
Najmus Saqib

