udhar chuTki wo dil mein le rahe hain
idhar ek gudgudi si ho rahi hai
Mubarak Azimabadi
us gali mein hazar gham TuTa
aana jaana magar nahin chhuTa
Mubarak Azimabadi
ye gham-kada hai is mein 'mubarak' KHushi kahan
gham ko KHushi bana koi pahlu nikal ke
Mubarak Azimabadi
ye ghaTa aisi ghaTa itni ghaTa
mai halal aise mein hai mai-KHwar ko
Mubarak Azimabadi
ye tasarruf hai 'mubarak' dagh ka
kya se kya urdu zaban hoti gai
Mubarak Azimabadi
main apne aap laDunga samundaron se jang
ab e'timad mujhe apne naKHuda pe nahin
Mubeen Mirza
'azurda' mar ke kucha-e-jaanan mein rah gaya
di thi dua kisi ne ki jannat mein ghar mile
Mufti Sadruddin Aazurda

