samjhaen kis tarah dil-e-na-karda-kar ko
ye dosti samajhta hai dushman ke pyar ko
Mubarak Azimabadi
shikast-e-tauba ki tamhid hai teri tauba
zaban pe tauba 'mubarak' nigah saghar pa
Mubarak Azimabadi
tauba ki rindon mein gunjaish kahan
jab ye aaegi nikali jaegi
Mubarak Azimabadi
teri baKHshish ke bharose pe KHataen ki hain
teri rahmat ke sahaare ne gunahgar kiya
Mubarak Azimabadi
teri ada ki qasam hai teri ada ke siwa
pasand aur kisi ki hamein ada na hui
Mubarak Azimabadi
tum bhul gae mujh ko yun yaad dilata hun
jo aah nikalti hai wo yaad-dahani hai
Mubarak Azimabadi
tum ko samjhae 'mubarak' koi kyunkar afsos
tum to rone lage yar aur bhi samjhane se
Mubarak Azimabadi

