hawa charagh bujhane lagi to hum ne bhi
diye ki lau ki jagah tera intizar rakha
Mohsin Asrar
jagah badalne se haiat kahan badalti hai
jo aaina hai sada aaina rahega wo
Mohsin Asrar
jaise sajde mein qatl ho koi
aisa hota hai chahaton ka maza
Mohsin Asrar
jawab deta hai mere har ek sawal ka wo
magar sawal bhi us ki taraf se hota hai
Mohsin Asrar
jis din ke guzarte hi yahan raat hui hai
ai kash wo din main ne guzara nahin hota
Mohsin Asrar
jis lafz ko main toD ke KHud TuT gaya hun
kahta bhi to wo us ko gawara nahin hota
Mohsin Asrar
KHud ko main bhala zer-e-zamin kaise dabaata
jitne bhi khanDar nikle wo aabaad se nikle
Mohsin Asrar

