kaha iThla ke us ne aaiye na
yahan mere siwa koi nahin hai
Mohammad Yusuf Papa
mar lata hai jutiyan do chaar
jo tere aastan se uThta hai
Mohammad Yusuf Papa
yahan jitne hain apne bap ke hain
tumhaare bap ka koi nahin hai
Mohammad Yusuf Papa
zulf ke pech mein laTke hue shaer ka wajud
thak chuka hoga use mil ke utaro yaro
Mohammad Yusuf Papa
kya jaaniye kya lutf hai chilman ke idhar aaj
jati hai to phir kar nahin aati hai nazar aaj
Mohammad Zakariyya Khan
phir jawani hai abhi kuchh hai laDakpan un ka
do dagha-bazon ke phande mein hai joban un ka
Mohammad Zakariyya Khan
aankh se aankh milana to suKHan mat karna
Tok dene se kahani ka maza jata hai
Mohsin Asrar

