kya zamana tha ki hum KHub jacha karte the
ab to mange ki si lagti hain qabaen apni
Mohsin Asrar
main baiTh gaya KHak pe taswir banane
jo kibr the mujh mein wo teri yaad se nikle
Mohsin Asrar
'mohsin' bure dinon mein naya dost kaun ho
hai jis ka pahla qarz usi se sawal ka
Mohsin Asrar
tere baghair lagta hai goya ye zindagi
tanqid kar rahi hai meri KHwahishat pa
Mohsin Asrar
teri hi tarah aata hai aaankhon mein tera KHwab
sachcha nahin hota kabhi jhuTa nahin hota
Mohsin Asrar
tu KHud bhi jagta rah aur mujh ko bhi jagata rah
nahin to zindagi ko dusra qissa pakaD lega
Mohsin Asrar
wo majburi maut hai jis mein kase ko buniyaad mile
pyas ki shiddat jab baDhti hai Dar lagta hai pani se
Mohsin Asrar

