dushmanon ki dushmani mere liye aasan thi
KHarch aaya doston ki mezbani mein bahut
Mohammad Yusuf Papa
Tags:
| 2 Lines Shayari |
dusri ne jo sambhaali chappal
pahli biwi ki wafa yaad aai
Mohammad Yusuf Papa
Tags:
| 2 Lines Shayari |
ishq aulad kar rahi hai magar
mera jina haram hota hai
Mohammad Yusuf Papa
Tags:
| 2 Lines Shayari |
jab bhi walid ki jafa yaad aai
apne dada ki KHata yaad aai
Mohammad Yusuf Papa
jab hua kale ka gore se milap
mil gain tarikiyan tanwir se
Mohammad Yusuf Papa
Tags:
| 2 Lines Shayari |
jal gaya kaun mere hansne par
ye dhuan sa kahan se uThta hai
Mohammad Yusuf Papa
Tags:
| 2 Lines Shayari |
jhuT hai dil na jaan se uThta hai
ye dhuan darmiyan se uThta hai
Mohammad Yusuf Papa
Tags:
| 2 Lines Shayari |

